Sunday, February 24, 2008

Dur Hai Aapse Toh Kuch Gum Nahi,
Dur Rehkar Bhi Bhoolnewale Hum nahi,
Roz Mulakat Na Ho Paye Toh Kya Hua,
Aapki Yaad Mulakat Se Kam Nahi....


Unki Muskaan Hamari Kamzori Hai,
Unhe Keh Nahi Pana Humari Majburi Hai,
Woh Kyon Nahi Samjhte Humari Hhamoshi Ko,
Kya Khamoshi Ko Zubaan dena Zaroori Hai...

Thursday, February 21, 2008

Karni Hai Khuda Se Ek Guzarsh,
Aapki Dosti Ke Siwa Koi Bandgi Na Mile,
Har Janam me mile Dost Aap Jaisa Ya Fir Kabhi Zindgi Na Mile.


Har Pal Ki Dosti Ka Irada Hai Aapse,
Apnapan Hi Kuch Itna Zyada Hai Aapse
Na Sochenge Sirf Umar Bhar Ke Liye,
Qayamat Tak Saath Nibhayenge Yeh Vaada Hai Aapse.


Na Koi Shikwa Na Gila Hai Aapse,
Tammana Hai Bas Ek Silsila Rahe Aapse,
Haskar Phir Rona Nahi Chahte,
Paane Ki Chah Nahi,
Bas Aapko Khona Nahi chahte.

Yaadon Ke Is Bhanwar Mein Ek Pal Mera ho,
Phoolon Ke Is Chaman Mein Ek Gul Mera Ho,
Khuda Kare Ki Jab Aap Yaad Karo Apno Ko,
Toh Un Apno Mein Ek Naam Mera Ho.